Time ke hisab se kafi sari chije change hoti rahti hai or agar baat karen aaj ki time ki aaj ki dor ki toh career choice bhi 1 aisa option hai jisme naam, paise, izzjat, sohrat sab kuch hai. Or wo option hai modeling, ji haan aaj ke time par modeling ka kafi jada craze hai or sare log models banana chahte hain kyuki ye glamorous or aakarsak hai.
Wese bhi modeling bollywood me carrer aajmane walo ke liye 1 launching pad ban gya hai. Ab isme mahila model ka kafi varchas hai, fir bhi mahila model ke varchas ko hal hi salo me purush model ne bhi jabardast challenge diya hai.
Models ki sabse jada darkar garment tatha beauty product me hoti hai, lekin tv modeling, commercial modeling, rank modeling, glamer modeling me bhi achhi demand hai. modeling se matlab sirf ramp par cat walk krna nhi, balki modeling ke filed me kafi chije krne ko hai.
Apke pass achha figure hai, chehra bhi photo senic hai or sath hi confidence bhi hai or glamer ke prati aap starting se hi attracted rahe hain. toh modeling ko 1 career ke tor par chunkar aap bhi sohrat kama skte hain.
Par model banane ki rah itni asan nhi hai sundar ladke ladkiyo ki yaha pahle se bahut line lagi hai. Agar aapne than liya hai ki apko model banana hi hai toh kuch behtirin tarike hum apko batane jaa rhe hain jo apko 1 sucessful model banane me help karenge.
Model Kitne Tarah Ke Hote Hain?
Dosto model banane se pahle chaliye ye jan lete hain ki model kitne tarah ke hote hain.
Number 1 – Pahla hai Television Modeling isme apko moving camero ke sabme modeling krni padti hai jiska istemaal tv advertisement, cinema, video, internet me kiya jata hai.
Number 2 – Dusra hai Print Modeling isme still photographer models ki photos nikalte hain jiska istemal akhbar, promotion, newspaper, magazine, calender, aadi me kiya jata hai.
Number 3 – Tisra hai showroom modeling, showroom models aamtor par niryatako, garment nimatayo or bade retails ke liye kam krte huye fashion ko pradarshit krte hain.
Number 4 – chotha hai remp modeling, isme models ko remp par walk krte huye unhe fashion ki jhalak dikhni hoti hai. ye execution, fashion show, ya kisi showroom ki part bhi ho sakti hai. remp model ke liye khade hona, chalne ki shaili or body language ka achha hona kafi jaruri hai.
Model Kaise Bane?
wese model banane ke liye agar teyari ki agar baat ki jaye toh modeling ki duniya me personal look par khas dyan diya jata hai. iss filed me saririk lambai kafi maine rakhti hai sath hi chhar hara sudol sarir hona bahut jaruri hai.
Mahila model ki lambai 5 foot 7 inch se 6 honi chahiye sath hi wajan 56 se 60 kilo or umar 16 se 22 sal ke bich hona jaruri hai. wahin males ki lambai 5 foot 9 inch se 6 foot 2 inch tak honi chahiye or wajan 60 se 75 kilo or umar se 18 se 25 sal tak honi chahiye.
Aadi aap bhi sudol sarir, behtar look or sahi lambai ke dhani hain toh modeling apke liye behtar career sabit ho sakti. Models ke liye damdar market availabe hai or ye anek tarah ke products ko pahankar ya khud ko kisi product se jodkar logo ke samne khud ko pradarshit krte hain.
Anuman companies in models ke duwra apna product bazar me paroshte hain unhe lagta hai jo model jitna bada or attractive or bada hoga uska product bhi utna hi jada bikega. Badi companies naami or bade models ko hi jada importance dete hain.
Modeling Course or Agencies & Institutes
Modeling course aamtor par 1 mahina, 3 mahina or 6 mahina ke duration wale hote hain, iss course me makeup, haircare, personality development or fitness ki jankari di jati hai. sath hi sath cummunication skills, body language , photoshoot or portfolio making ke bare tips diye jaate hain.
Modeling course ke liye kafi coaching me fees ke tor par 50k se lekar 200k tak liye jaate hain. coaching jitna bada or naami hoga usi ke hisab se iski fees bhi hogi yadi aap modeling me career banane ke liye intrested hain toh 1 behtar look or chharhari kaya ke alwa kuch baato par vishesh rop se dyan dena jaruri hai.
Jese sahi diet, apni sundarta ko barkarar banaye rakhne ke liye sajak rhe, apne haw bhav ke sath khud me viswas layen aap soft skill se less hone chahiye sath hi acting bhi ani chahiye or sabse important hai portfolio ko sahi rop se present krna. Jee haan portfolio me apne sahi look or aakarsak photo bhejen, kisi 1 shoot ke 2 ya 2 se jada photo toh bilkul na bheje, photo hamesha blank & white bheje tatha photo ka size 9 by 12 ka standard size ho.
Portfolio me headshoot, body shoot, action shoot tatha catalogue shooth aadi bheja jaa skta hai. Agar portfolio ki baat karen ki apko apna portfolio kaha bhejna chahiye or kaise toh iska jawab hai ki aaj kal modeling ke naam par jab dikha kar ke shosan krne ke baate kafi charcha me hai.
Isliye jo iss field me career banane ki soch rahe hain, wo portfolio ke rup me apna photo or resume or hamesha jaani pahchani models, cordinator or modeling agency ko hi bheje. Achhe cordinator kafi busy hote hain or agar unhe kisi model ka photo pasand nhi aaya toh wo katai apko milne ka samay nhi denge isliye photo bhejne me thodi sawdhani barte.
Iske alwa cordinator duwra diye gaye nirdesh ko kambhirta se follow karen jese hair cut, weight loss, skin treatment mental works aadi, kyuki ye cordinator hi apko 1 chhote place ya fashion show se lekar modeling ke manch tak bade duniya tak pahucha sakte hain.
Pramukh sansthano ki baat karen toh J.D Institute of fashion design, mumbai, national institute of fashion design, chandigarh , R.K films and media academy, New Dehli. Coaching sasntha ki baat karen toh experienced hasil models jarur naye models ko traning dete hain iske liye models unke ghar jake traning lete hai, kuch jaane mane photographer bhi unhe modeling ki barikiya sikne ka kam karte hain.
Lekin coaching sanstha jesa abhi kuch nhi hai sayad future me modeling institute or agencies ki tarah modeling coaching ka riwaj suru ho jaye. dosto ye thi kuch modeling sastha or coaching ki baat.
Modeling me Jobs
Aage agar modeling ki naukari ki awsar ki baat karen toh awsaro ki bhar mar hai kadi mehnat iss pese ki sabse badi visheshta hai modeling career me apki age 1 badi badha ho sakti hai, lihasa iss field me aage chalkar fashion designer, photography, tv host or acting jese dusre achhe khase options models ke liye mujud hain.
Tv, Print, Video, Advertisement, Showroom, Website, catalogue, ramp show, hand model product promotion, corporate sector ke awla modeling agencies me cordinator ke rojgar mil skta hai. ya fir aap apni khud ki agencies aap khol sakte hain or baat karen agar vetan yani salary ki toh modeling me naukari jesa koi concept nhi hai.
Iss field me assignment based kam hota hai lekin 1 chhoti se chhoti product ko promote krne par 1 naye model ki kam se kam kamai 5k tak ho jati hai. Jese jese apka naam or rutba badhta hai or usi assignment ke liye 20k se lekar 50k tak mil sakte hain. toh ab iss career choice ke bare me apka kya kahna hai or aap krna chahate hain ya kisi ko recommand krna chahte hain toh iski puri information apko mil chuki hai.
Conclusion
Dosto ye article apko kesa laga hame comment kar ke jarur bataye sath hi iss artiicle ko apne dosto ke sath bhi share karen jo model banana chahte hain. Or isi hi nai jankariyo ke liye hame follow jarur karen, Thank You.