Dancer Kaise Bane – How to Become a Dancer With Full Information?

1 Dancer apne dance movements ka istemal krta hai apne strories or apne feelings ko express karne ke liye, Kai tarah ke dance hote hain jihne aap apne ruchi ke anusar sikh kar master ban sakte hain.

1 dancer ke tor par aap aamtor par choreographer routine ke tor par dance karte hain matlab apko 1 particular music ke liye steps sikhaye jaate hain. Lekin dancer ko free form dancing bhi aani chahiye or uske liye dance sikhna padta hai.

Dance 1 sports hai or isko sikhne ke liye bahut hard work or practice ki jarurat padti hai, isse koi fark nhi padta ki aap kon hain or kis tarah ke background se aaye hain or agar aap me talent hai or confidence or patience hain aap kuch bhi sikh skte hain.

Ho skta hai ki aap isme abhi perfect na ho lekin agar aap ise samay dete hain toh ye muskil nhi hai, aaj ke iss article me hum janenge ki agar aap 1 dancer banana chahte hain toh uske liye kin kin baato ka dyan rakhna padta hai toh bane rahiye hamare sath ant tak.

How To Become A Dancer With Full Information

Dancer Kaise Bane?

Dosto article suru karne se pahle se hamare blog par apka swagat hai toh chaliye jante hain ki dancer banane ke liye kin kin baato ka dhyan rakhna hoga.

Number 1 – Sabse pahle yah pakka karen ki kya dance wah chij hai jise aap sachme karna chahte hai. Dance ke liye bahut junun or dedication ki jarurat hoti hai chahe aap fir apne shokh ke liye dance karen ya fir aap 1 professional dancer banana chahe dono ke liye dedication chahiye.

Agar aap ise 1 career option ke rup me dekhte hain toh baki kamo ke samay me se iske liye jada samay nikalna hoga. Yad rakhiye ki dance apne aap me 1 khel hai or ise har din karne se hi aap isme perfact ho payeneg,

Number 2 – Dosto number 2 par aata hai, dance siikhne ke liye jo sabse jaruri hai wo hai aap 1 dance ka style choose karen, apko sochna hoga ki aap konsa dance style choose krna chahte hain.

Kyuki hazaro dance style me se apko apne style ko pahchana hai, sabhi dance style ko dekhe or fir usme se jo aap kar sakte hain unme se 1 ya 2 style ko chune. wo koi sa bhi style ho sakta hai. Ballet, Tap, Jazz, Swing, Lyrical, Contemporary, Acro, Hip Hop, Break Dance, Pointe, Modern ya Belly Dancing or indian classic me kathak, Bharatanatyam aadi. Toh aap usi dance style ko chune jise karne me apko maja aayen.

Number 3 – Number 3 par aata hai guidance dekhe, Or dance se jude huye music video dekhe or us video me dancers ki chal dekhen us dance form se related internet par dance video or uske bare me padhen.

Youtube tutorial dekhen or 1 tutor dekhe dosto or pese walo se sujhav mange yah wah kam hai jo apko dance sikhne se pahle krna hai. apko har tarike se dekh lena hai ki aapko apna pura samay isi dance form ko dena hai ya nhi.

Number 4 – Number 4 par aata hai experiment kare, 1 full length mirror ke samne khade ho jayen or apne sarir ko hilna suru karen. agar apke pass full length mirror nhi hai toh aap kiraye ka dance studio ka upyog kar skte hain.

Sarir ke bibhin hisso par alag alag move ki practice karen. ye bhi dekhe ki dance karte samay apki manspesiyan khichi huyi or thandi naa ho.

Number 5 – Number 5 par aata hai 1 dance school chune, agar aap professional dancing ki high school ki padhai karna chahte hain toh apko 1 achha school dundhana hoga jaha dance ke liye alag se class hoti hai, apne aas pass ke baki dancer se or apne dance se iss bare me baat kren. or achhi school ka pata karen.

Number 6 – Number 6 par aata hai ki jitne jada dance class join kar sake kijiye, aap jitna jada practice karenge utna jada perfact hote jayenge apne dance style me. aap apne dance teacher se baat karen or unse jada class ki safaris karen, agar apke pass jada class lene layak paise nhi hain ya kisi bhi wajah se aap jada class nhi le sakte toh aap online video se sikh skte hain.

Halaki agar aap 1 proffesional dancer banane ki soch rhe hain toh 1 reputable dance school me register hona bahut jaruri hai. isse aap jaldi hi apne career me success pa sakenge.

Number 7 – Number 7 par aata hai Stretch and Warm-up, dance ki duniya me stretching or warm-up bahut jada important hain. Jitna jada aap stretching karenge utna jada apka sarir flexible hoga lachila hoga.

Aap jab bhi dance class jaye tab stretch jarur karenge. iske sath hi jab aap sone jaye or sokar uthe tab bhi stretch jarur karen. isse apke body ke flexiblity me jada sudhar hoga. Lekin aap jab bhi stretching karen us waqt dhyan rakhen ki apka sarir garam ho varna apko choth pahuch sakti hai, iske liye stretching se pahle halka warm up jarur karen.

Number 8 – Number 8 par aata hai mirror ke samne practise karen, jab bhi aap dance karen toh apne posture par dhyan de, uske liye aap mirror ka sahara le skte hain. Har dance school or institute me mirror hota hai, taki dance students apne dance move ko dekh payen.

Or apni galtiyo ko pahchan kar ke usme sudhar kar payen. Mirror me dekh ke dance karne se apko apni galtiyan pata chalegi. Apne galat moves ko dekhen or unhe sudharen. Jab tak aap 1 dance move me perfact na ho jayen or apko confidence naa ho jayen ki aap sahi kar rhe hain tab tak aap agle dance move ki taraf na badhe.

Aap apne mirror moves ko record bhi kar sakte hain, uhne record kar ke aap apne dance ka 1 collection bhi bna skte hain.

Number 9 – Number 9 par jo aata hai wo hai practice ab jab apke pass apka apna dancing style hai move hai or aap dance ke liye puri tarah se dedicated ho toh ab apko uski khub sari practice karni ki jarurat hai. Jab tak aap puri tarah se confidence nhi o jate tab talk aap apne dance moves ko apne badroom me pratice karen. Or jab aap average level ka dance karne lagen toh advance level ka school join kar len.

Number 10 – Number 10 par aata hai Healthyy rahna. Dance bahut hi demanding sport hai, dance ke liye healthy rahna, swath khana, hydrated rahna bahut jaruri hai Dance ke liye mentqal peace bhi bahut jaruri hai. Meditation apko mental peace deta hai.

Conclusion

Dosto ummid karte hain ki apko dance ke bare me bhaut sari jankariyan hamne dene ki koshish ki hai. Apko pasand ayi hai or puri koshish karte hain ki apko 1 hi article me puri jankari de saken.

Agar apka iss article se related koi bhi or sawal hai ya kisi or dance form ke bare me janana chahte hain toh please apne sawal comment box me likhkar apne hame jarur bheje. Hum uska answer jarur denge.

Or issi tarah ke or articles ke liye hame follow jarur karen or isse apne dost ke sath bhi jarur share karen, Thank You.

Leave a Comment