How to Become a Sound Engineer with Full Information?

Sound hamare life ka kitna important part hota hai ye toh hum sabhi jante hain fir chahe wo sound kisi movie ka background music ho ya fir kisi video game ka audio effect ki kyu na ho.

Hum sounds ki important ko acchi tarah samjhte hain, Or ab toh sound industry har nayi sal ke sath tez4i se growth bhi kar rahi hai, aise me india me sound engineering ek main stream career choice banti ja rahi hai.

Agar aap bhi sound & audio technology me aisa interest rakhte hain iss field me apna career banana chahe toh aap sound engineer banane ke bare me soch sakte hain, lekin ye sound engineering exactly kya hoti hai.

Ek sound engineer ke kya kya kam hote hain, iss field me kitna scope hai, sound engineering me kon kon se courses offer kiye jate hain, iske liye india ke best institute konse hain or salary package kesa hota hai. Aesi sari jankriyaan lene ke liye apko aaj ka ye article pura padhna hoga, jise aap hi ke request par likha gya hai.

how-to-become-a-sound-engineer-with-full-information

Sound Engineering kya hoti hai?

Toh chaliye shuru karte hain or jante hain ki sound engineering kya hoti hai, Sound engineering, engineering ka ek aisa discipline hai jisme movies, music or theater ke recoding, mixing or reproduction ki study samil hoti hai.

Sound engineering sound or uske characteristics  and nature ki technical sound study hoti hai. Or iss area me sound engineer yani audio engineers ko milne wali career opportunity bhi bahut achhi hoti hai.

Jo radio stations, tv channels, advertising firms, movies jaise area me available hoti hai or ek sound engineer apni technical skills or knowledge ka use kar ke different platform jaise ki film, music, television, radio, web or live events ke liye crystal clear sound create ya record karne ka kaam karta hai.

Iss kam me unhe production professionals jaise composers, artists, music producer, film directors, editors, studio managers etc. ke sath collaborate bhi krna hota hai.

Toh ab agar apko sound engineers ke ye kam pasand aye ho or apko lagta hai aap iss tarah ke kam bahut hi interest ke sath enjoy karte hoye kar payenge, toh aage apko batate hain ek sound engineer banane ke liye required essential skills ke bare.

Sound Engineer Kaise Bane?

Toh dekhiye sound engineer banane ke liye apke pass physics or mathematics jaise subjects ki strong foundation honi chahiye, apki technical knowledge bhi strong honi chahiye or new technology & digital media ke sath apka familiar hona bhi jaruri hai.

Aap me troubleshooting & problem solving abilities bhi honi chahiye or apka communication skill bhi strong hona jaruri hai. Sath hi high quality audio or music ke liye apka good sense hi apko progress dila payega.

Iske alwa apko team work krna aana chahiye or patience ke sath perform karne ki skill bhi honi chahiye or create mind toh iss field ke liye compulsory hi smjh lijiye. In sari skill ko toh aap cover kar lenge lekin ek successful sound engineer banana hai toh iske liye kya kya criteria ho skta hai aiye jante hain.

Sound Engineering Banane Ke Liye Criteria?

Agar sound ko lekar aap passionate hain toh school level par hi apne passion ko pahchan lijiye taki ise apna profession banane me apko parishani na ho kyuki iske liye class 12th apko science stream se clear karni hogi, jisme apke pass main subject physics, chemistry or mathematics yani pcm hone chahiye.

Uske bad aap sound engineering me bachelor yani B.tech kar skte hain. Or ye toh aap jante hi hain ki jadatar reputed collages me admission ke liye entrance exam clear krna jaruri hota hai.

Bachelor degree ke bad agar aap chahe toh sound engineering me master yani M.tech kar skte hain, or uske bad sound engineering me P.hd bhi ki jaa skti hai. Wese apko ye jankari khushi hogi ki aap sound engineering me diploma & certificate courses bhi kar skte hain.

Sound Engineering Courses

Aur aise kuch courses ke naam apko bta dete hain diploma in audio engineering, diploma in recording arts, PG diploma in sound recordings & S Design, Certificate in audio and Recording engineering, Certificate in creative media Arts – Digital sound, Certificate in audio production technology, ceritificate in audio technology or advanced certificate course in sound engineering etc.

Toh inn courses ke alwa apni sound engineering ability ko improve karne ke liye aap online sources ki help le skte hain, local events or concerts ko attend kar skte hain, or sound engineer or producer ke sath apni network bna skte hai.

Kisi project par sound engineer ko assist kar skte hain or audio or sound ke sath experiment karne ke liye free application or tools ka bhi use kar skte hain, kyuki jitna ap experiment karenge jitna practice karenge jitna exposure payenge utna hi jaldi grow kar payenge.

Sound Engineering Subjects

Aur ab apko btate hain ki jadatar sound engineering programs me konse subject cover kiye jate hain, taaki apko iss course or profession ke bare me thodi jata knowledge mil saken.

Ye subjects hain audio fundamental, audio signals and system, analog and digital consoles, physics of sound, reproduction techniques, recording, editing, mixing & mastering, music production, sound design, surround sound mixing & music mastering, studio equipment & recording gear operation, live sound, film sound, software training, advanced digital tech & electronic music production etc.

Sound Engineering Best Institute

Aur ab jaan lete hain india ke behtarin instituten ke naam jaha se sound engineering me courses me course kiye jaa skte hain, Department of film & tv studies Bharatiya Vidya Bhavan, New Delhi.

Film & television institute of india, pune, Devi Prasad goenka management collage of media studies, mumbai, IITk kharagpur, Kharagpur, Biju patnaik film & television institute, cuttack, zee institute of media arts (ZIMA), mumbai, National institute of film and fine arts (NIFFA), kolkata, craft film school delhi, department of music university of mumbai.

Wese apko ye bhi pata hona chahiyeke ki sound engineering me bachelor lene ke bad apko achhi job opportunity mil skti hai. Ek sound engineer ke tor par aap ek production company me ya kisi studio me kam bhi kar skte hain. Or freelance ke tor par bhi kam kar skte hain.

Sound Engineering Specialization & Salary Package

Sound engineering graduates bahut se field me specialization bhi kar skte hain. Jaise sound recordist ke roop me, studio engineer ke roop me, isi tarah sound editor, broadcast engineer, editor, music editor, Re – Recording mixing specialist, Sound effects editor, Recording engineer, mix engineer or sound designer jaise  option bhi unke liye khule hain.

Yani  apke pass sound engineer me bhi bahut sare job profiles available hai, or agar ab inn profession ke pros & cons jane toh apko tv & film personalities, editor and directors ke sath kam karne ka mauka mil skta hai.

Aap music ke passion or engineering ko combine kar skte hain or future ke liye great career opportunities teyar kar skte hain, lekin iss filed me bhi competition ki koi kami nhi hai, isliye apke talent ke sath sath apke pass certification, degree or experience bhi hona chahiye.

Tabhi aap iss field me aage badh skte hain, or iss career ke shuruwati phase me apko financial issues face karne pad skte hain isliye iske liye bhi apko teyar rahna padega. Ab agar salary package ki baat kare toh industry specific studios me sound engineer ko milne wali salary 2 se 25 lakhs per annum ho skti hai.

Aur salary package ka ye difference experience or networking ke base par hota hai. Or private studios me ye package 2 se 15 lakhs tak hote hain, Specialization wise salary package jane toh Monitor sound engineer ka average initial salary package 3.6 se 8 lakh per annum hota hai.

Studio sound engineer ke liye ye package 3 se 5 lakhs per annum ho skta hai or Research & development audio engineer ka salary package 5 se 9 lakhs tak per annum hota hai.

Isi tarah experience base par dekhen toh monitor soud engineer ki salary 9 se 11 lakh per annum ho skti hai, studio sound engineer ki salary 8 se 10 lakh tak per annum ho skti hai or Research & development audio engineer ki salary 9 se 15 lakh tak per annum ho skti hai.

Conclusion

Toh dosto iss tarah puri teyari ke sath agar aap iss field me utre toh ek successful sound engineer ke rup me khud ko established kar skte hain, ha lekin iske liye apko efforts toh pure lagane hi honge isliye apne efforts me koi kami mat rahne dijiye.

Aur agar aap apne sound ke magic se puri duniya ko surprise krne ke liye teyar hain toh iss field me kadam rakhi dijiye, or agar ye article apko pasand ayi ye jankari apke liye helpful rahi toh toh please isko or logo ke sath share krna bilkul na bhulen.

Leave a Comment