Masala Udyog Kaise Shuru karen – How to Start a Spice Manufacturing Business with Full Information?

Khano me swad do chijo se aata hai ek banane wali ki wajah se or dusra masalo se or jab baat ho indian khano ki toh maja ke bina aap soch bhi nhi sakte, jeera,dhaniya,haldi powder, mirch powder, kali mirch, lal mirch, long ilaichi, jaifal, javitri.

India me har state me alag tarah ke masale ugate or istemal hote hain. Iske awla bhi alag alag sabjiyo ke liye chat masala , pav bhaji masala , sabji masala , meat masala jese bahut se masale market me bikte hain.

Agar aap masalo ka karobar krna chahte hain or khud ko 1 enterpreneur ki tarah established krna chahte hain toh aaj ke iss article ko last tak jarur padhe or share krna toh bilkul na bhule .

How To Start A Spice Manufacturing Business With Full Information

Masalo ke Business me kitna Profit hai?

Dosto baat aisi hai ki koi bhi business suru krne se pahle dimag me yahi khiyal aata hai ki kya isme profit hai, kahi business capital dub naa jaye. Toh sabse pahle india me masalo ka bazar dekh lete hain ki ye kitna bada hai.

Prachin kal me india ka masala karobar Rome or China tak faila hua tha, Global market me india apne masalo ke khusbo, textur or ayuvedik gunu ke karan jana jata hai. Masalo ke mamale me duniya bhar me india ka domestic market bahut bada hai.

india ko home of spices isliye kaha jata hai kyuki ISO yani international organization for standardization ke list me jo 109 tarah ke masale mojud hain usme se 75 tarah ke masale india me ugaye jaate hain.

Financial year 2020 me india ne 3.62 Billion dollars masalo ka export kiya tha. US, China, Hong Kong, Vietnam, Bangalesh, Thailand, Uk, UAE, Malaysia or Srilanka ye sab bhartiya masalo ke top 10 importers hain.

Financial year 2019 me value ke hiab se india ne sabse jada karobar chilli, mint product, spice oil, jeera, haldi, kali mirch, kari powder or paste, elaichi ke dane, imali, or lehsun ka kiya tha.

Spice manufacturing ke iss karobar me isliye bhi scope hai kyuki gharelo jarurate pure krne ke bad bhi india se lakho tan masale export hote hain, toh chaliye step by step jante hain ki iss business ko aap bilkul suru se aap kaise kar sakte hain.

Masale ka Business kaise suru karen?

Number 1 – Dosto masale ka business suru krne ke liye sabse pahle number par jo aata hai wah hai License or Business registration krna. Or iske liye apka pahla step hoga Registration in ROF yani ROF me registration karwa kar 1 one person company sthapit krna.

Iske bad apko 1 trade license chahiye jo apko local authority se mil jayegi uske bad apko Udyog adhaar ki jaruart padegi. Adhaar card ki hi tarah Udyog adhaar hai jo aadhaar for business jo ki 12 digit ka number hota hai, jis se aap Ministry of Micro, Small and Medium Enterprises Government of india me apply kar ke bhi le skte hain.

Google par Udyog Aadhaar search karenge toh apko Udyog registration ki website usyamregistarion.gov.in dekhai degi. jaha par detailed information apko mil jayegi. Iske alwa bhi aap apne business ke liye MSME Registration karwa skte hain isse ye faida hoga ki agar central government ko koi subsidy program suru krti hai toh aap uske liye apply kar payenge.

Masale food item me gine jate hain toh apko FSSAI yani Food Safety and Standards Authority of India se food license lena hoga. Karobar jam jane ke bad agar aap masalo ka export import karna chahenge toh iske liye IEC ya Import Export Code ki jaruart padegi.

Number 2 Dosto number 2 par hai business license ke alawa spice manufacturing ke business setup krne ke liye apko raw materials, Machinery or Equipments ke sath sath apna business plan bhi banana hoga jese company or factory ke liye jagahe chahiye toh kam se kam 500 square feet ka space apko chahiye hi.

Jaha par aap masala kutane ki machine, sukhane ki machine or raw materials rakhne ki jagah or packing ke liye alag jagah chahiye. jaha par achhe se kam kar payen.

Number 3  Ab baat karte hain 3rd point ki jaha pari aati hai machines ki kyuki inke bina masale teyar kyuki inke bina masale teyar nhi honge. Apki banai gyi masale ki quality bhi ispe depend karegi ki apke masale kitne barik hain.

1 masala factory banane ke liye apko kam se kam grinding machine, Impact pulverizer, Double stage pulverizer, Hummermill, spike mill or saman tolne ka saman chahiye. ye sari machine 5 se 7 lakhs rupay ke bich me aa jayegi ya inke pruduction quality or features ke hisab se kimat jada bhi ho skti hai.

Jese impact pulverizer ki kimat 1 to 1.5 lakhs rupay tak hai isi tarah double stage pulverizer 2 se 2.5 lakhs rupay tak aati hai. toh iske liye apko kisi achhe company ya supplier ko dundhana hoga, jis se aap kam se kam kimat par machine le payen.

Number 4  Ab chotha point apse kahta hai ki spice manufacturing ki baat kare toh business capital par bhi apko kam krna hoga. Agar apke pass apni jagah available hai toh rent ya lidge ka karcha aap bacha lenge. Iske bad bhi business registration, machine, labour cost, eletricity, packaging, labelling, sales & marketing, raw materials ko milakar ke 10 se 15 lakhs rupay tak 1 large scale ka business suru krne me lag jayega.

Agar apke pass capital ki kami hai toh aap business loan ke liye bhi apply kar skte hain or agar governement se subsity mil gyi toh karche apke thode kam ho jayenge. Iske bad pari aati hai us chij ka jiske bina masalo ka business possible hi nhi hai wo khud masale hain yani ki raw material.

Iske liye apko ye decide krna hoga ki aap apne product me kya kya rakhenge basic masale jese jeera dhaniya, mirchi, haldi, long ilaichi, tez patta, badi ilaichi, kali mirch, dal chini wagera hain. Inke awla aap kari patta adrak, lehsun, raifal, jaibitri, kesar, teel, kewda, alsi, kasuri methi, methi dana, him, anar dana aise dhed sare naam hain.

jinhe aap apne business me jaghe de skte hain, ye apke capital or man power par bhi nirbhar karega kyuki ye ultimately inhe jab aap bech payenge munafa tabhi hoga. Isliye suruwat ke liye un masalo ko chune jinki jaruart har din or har kichten me padti hai.

Iske sath hi apko achha supplier dundhna padega jo apko achhi quality ke masale sahi dam par de. wese toh har state me apko masalo ke karobari mil jayenge. jo apko bulk me hall sell rate par masale supply karenge. par aisa ke sabse bade market me agar aap jana chahte hain toh wo delhi me hai.

Khadi boli bazar, 1 bar waha par jarur se visit kijiyega iske awla apko har state capital me masalo ka bazar explore kar skte hain. South india ki baat kare toh keral me lagbhag apko har tarah ke achhi quality wale masale mil jayenge, jese imali, jaifal, sonth, dal chini, sof, kali mirch, long, ilaichi, or vanila warega.

Conclusion

Dosto hame ummid hai ki apko yah article pasand aayi hogi or isko last tak padhne ke bad apko masala business ke bare me kafi achhe se jankri ho gyi hogi lekin fir bhi agar apka koi doubt hai toh aap hame comment kar ke puchh skte hain hum uska uttar apko jarur denge.

Dosto sath hi isi tarah ke or jankariyo ke liye hame follow jarur karen or iss article ko apne dosto ke sath bhi share jarur share karen, Thank You.

Leave a Comment