Freelancer Kaise Bane – How to Become a Freelancer With Full Information?

Hamare bharat me berojgari ki samashya bahut badi hai, aaj lagbhag 60% se  70% log berojgar hain. Or berojgari ka karan hai bharat me jobs ki kami. Hazaro log har sal degree ki padhai kar ke ghar par baithe hain kyuki unki padhai ke anusar unhe jobs nhi mil pati hai.

Or padhe likhe log kabhi bhi koi chhota kam karna pasand nhi karte jiski salary 10 hazar rupay se bhi kam ho. isi karan aaj berojgaro ki sankhya aaj hamare desh me bahut hai. Lekin internet ke aane se bahut sare kam aasan ho gaye hain. yaha tak ki internet ki madad se online paise kamane ke bhi tarike dundhe jaa chuke hain.

Internet ka istemaal karte samay apne kai jagaha par aisa ad jarur dekha hoga jaha likha hota hai ki ghar baithe online paise kamaye. Apke dimag me yah sawal jarur aata hoga ki akhir ghar par baithe baithe paise kaise kamaye jaa sakte hain.

Freelancing ka kam kaha hota hai?Asal me internet par paise kamane ke bahut sare tarike hain jese blogging, youtube, online marketing, web designing etc. ye sabhi kam ghar baithe baithe online kiye jaate hain lekin online paise kamane ke liye hame kafi mehnat or sabbar krna padta hai.

Jese ki blogging or youtube ki case me paise kamana itna bhi asan nhi hota. Isme samay or mehnat dono lgta hai or kafi samay ke bad jakar hum isse achhe paise kama sakte hain. Wese maje ki baat ye hai ki in online paise kamano ke tariko me 1 or aisa tarika hai jo sabse alag hai, or jisse kam samay me hi jada paise kamaye jaa sakte hain.

Wo tarika hai freelancing, iske bare me apne kahi na kahi padha or suna hoga jiske jariye aaj bahut sare log paise kama rhe hain. aaj ke iss article me hum apko freelancing ke bare me batane wale hain, jisme apko freelancing kya hai , ye kam kaise hota hai, or freelancer kaise bane? ye sari chije batayi jayegi. Taki iske jariye aap bhi ghar baithe paise kama sakenge.

How To Become A Freelancer With Full Information

Freelancing kya hai?

Chaliye dosto hum sabse pahle jante hain ki freelancing kya hai. agar kisi insan me koi kala ya talent hai. To wo us kala ko kisi dusre insan ke liye upyug kare or wo insan uske badle use paise de.

Isi hi freelancing ka naam diya gya hai. Iska matlab hai ki maan lijiye kisi ko kisi chij me talent hai, Photoshop, writing, Painting, music, design, image editing, voice over etc.

Agar kisi dusre insan ko koi kam karwana hai chahe koi phConclusionoto banwani ho ya design karwani ho, or agar apke pass wo kam krne ka talent hai toh us insaan ka kam kar skte hain. Apko kam ke badle apko wo iski kimat dega. or ise hi freelancing kahte hain.

Jo insan paise lekar online sewa deta hai ya service deta hai wah insan freelancing karta hai use freelancer kaha jata hai. Freelancing bahut tarah se ho sakti hai. Matlab online chahe kaisa bhi kam ho. jese content writing, blogging, designing, seo, link building, video making, digital marketing, graphics designing, animation, ye sabhi kam freelancing me samil hain.

Agar aap inme se kisi bhi kam me expert hain toh aap freelancing me kam kar sakte hain, freelancing me aap ek vishesh company ya farm ke liye kam nhi karte hain. balki iske liye apko khud ek client dundhana hota hai or unke liye kam karna hota hai.

1 client ka kam pura hone par dusre client ka kam pura krna hota hai, or isi tarike se ye silsila chalta rhta hai. toh freelancing 1 skilled based job hoti hai jise insan apne kaushal or hunar se paise kamata hai.

Freelancing ka kam kaha hota hai?

Chaliye ab hum jante hain ki Freelancing ka kam kaha hota hai? Hamne apko freelancing or freelancer ke bare me bataya ki wo kiya hai or unka kam kya hai. lekin yaha par sawal yah hai ki freelancer uske dusre ke sath contact kaise karta hai, kyuki freelancing business me sara kam online hota hai to client or freelancer 1 dusre ko physically dekh nhi sakte so unke bich me baat chit or deal kese hoti hai?

Toh me aoko bata doon ki apko online freelancer or client ko dundhne ke bahut se tarike hain, jese koi insan internet par social networking ke  jariye freelancer ya client se mil jata hai, ya dusre kisi insan ya organization ke jariye client or freelancer ke bich me project ki deal ho jati hai.

Lekin jo sabse behtehrin tarika hai wo hai freelancing websites iske duwara ki freelancer ko kam milta hai kyuki ye puri tarah se bharoshe mand hota hai. freelancing plateform 1 aisa  pradhan karti hai jaha buyer or freelancer 1 dusre ko dundh saken. Or ek dusre ke sath baat chit bhi kar saken.

Aaj ke samay me internet par kai sare freelancer website mujud hain jaha se aap freelancing ka kam kar sakte hain. Kuch pramukh freelancing ke naam hain Fiverr, Upwork, Toptal, Peoplehour, freelancer, Project4ire, 99Designs, aadi.

Ghar baithe paise kamane ke liye ye behtehrin websites hain lekin yaha par safal hone ke liye kuch samay bhi lag sakta hai. Inn websites ke jariye aap apni pahchan bana sakte hain. 1 bar agar aap freelancing business me kamyab ho gaye toh yaha par 50$ per hour bhi kam kar sakte hain.

Freelancing me kam karne ki khas baat ye hai ki yaha par samay ki koi bhi pawandi nhi hai, isliye aap jab chahe kam kar sakte hain. Freelancing website 1 karne wale or kam karane wale ke bich 1 tarah se bridge hota hai, in websites par clients or freelancer dono hi registered hote hain. jab kisi insan ko kam karwana hota toh wah upwork or fiverr jesi site par jata hai.

Or Apna kam post kar deta hai. uske bad freelancer apne anubhav or skill ke hisab se krne ke liye apply karte hain. Jis freelancer ke kam or dam client ko pasand ata hai usko higher kar liya jata hai.

Freelancer client ke nirdharit samay par kam ko pura kar ke deta hai. Jiske badle usko paise milta hai. Jis website ke jariye freelancing ka kam hota hai usko buyers or freelancer dono se commission milta hai.

Conclusion

Agar aap ghar baithe hi online paise kamana chahte hain toh freelancing apke liye best tarika hai. Or sath hi aap asani se chhote kamo ko kar ke achhe paise kama skte hain.

Asha hai ki apko is article ke jariye freelancing ki jankari pasand ayi hogi, is article me hamne apko ye bataya hai ki freelancing kya hota hai , isme kam kese kiya jata hai. or freelancer bankar paise kese kama sakte hain.

1 or jaruri baat ki aap jo bhi kam karen usko imandari ke sath karen or achhe se karen, kyuki last me jab client review likhta hai tab baki jo dusra client aata hai wo review jarur dekhta hai. ki apne past me kese kam kiya hai kya ratings hain.

isliye apko jo bhi kam kare wo achhe se kare or iss article ko apne dosto ke sath bhi share karen, Thank You.

Leave a Comment