Apna Khud ka Hotel Kaise kholen – How to Start a Own Hotel with Full Information?

1 Successful Entrepreneur hamesha apne agle success ke talash me rhta hai. Jab bhi kisi achhe business ka moka aata hai toh puri planning ke sath wah uspe kam krta hai wah uss moke ko jane nhi deta.

Agar hum ek hotel business ki baat kare toh ek hotel kholna sirf ek building khadi kar dena usme kai sari kamre banwa dena or logo ko check-in krne ke liye sirf charge krna nhi hai. ye usse bahut jada hai.

Aaj Tour or Travel industries din dugni or raat chogni growth kar rha hai. Aise me hotel ek aisi jahag hone chahiye jaha traveler jab apne room me check-in karen tab aram dayak mehsos karen.

Best hotel apne guests par focus krta hai. 1 hotel business man ki rup me apki reputation apke hotel ke guests ke satisfiaction par depend krta hai. Aaj toh online review ke yug me koi bhi insan kisi bhi hotel ke bare me positive or negative kuch bhi kahne ke liye online jaa skta hai, aise me apke hotel ka review achha hona chahiye. Tabhi aap iss business me tik payenge.

Apna Khud Ka Hotel Kaise Kholen

Apna Khud ka Hotel Kaise kholen?

Dosto aaj ke iss article me hum apko batayenge ki kese aap 1 hotel business suru kar skte. Or isme sucess pane ke liye apko kin kin baato ka dyan rakhna hoga. Toh bane rahiye dosto hamare sath ant tak.

Dosto article suru krne se pahle KnowYourAnswer apka swagat krti hai iss blog me, toh chaliye dosto ab jante hain ki 1 naya hotel kholne ke liye kya krna chahiye.

Number 1: – Dosto sabse pahle 1 plan teyar karen, Har naya business 1 plan suru se hota hai chahe business chhota ho ya bada sabhi ke liye surwat me 1 plan ki jarurat hoti hai. Kisi bhi business ko suru krne se pahle apko iss chiz ka andaza laga lena chahiye ki aap kis tarah ke market me enter kar rhe hain or age apko kin kin muskilo ka samna karna pad skta hai.

Agar aap kisi hotel me kaise kam hota hai inn sab chizo se pahle hi parichit nhi hain toh jitna possible ho utna iss industries ke bare me janane ki koshis karen. Or iske bare me gahrai se padhe or jankari ekattha karen.

Dosto 1 hotel ko safal banane ke liye ke liye kaun kaun si chije kam me aati hai or kin kin karano se 1 hotel business dob jata hai inn sab ka pata lagayen. Hospitality industries ke bare me jaane or uske lastest news se update rhe.

Apko pata hona chahiye ki apke hotel me kis prakar ke log rahenge or aap unhe apne hotel me attract karne ke liye kya kar skte hain. Sochiye ki aap apne business ke liye clients kaise ekattha kar skte hain.

Dosto 1 sahi marketing plan logo ko apke hotel ke kamre book krne ke liye majgur kar skti hai.

Number 2:Hotel ke type ko chuney, dosto hotel kai prakar ke hote hain aap hotel ke kis type me invest krna chahte hain apko ispar bichar krna hoga. wadi hotels kafi chhote hote hain. Ye aksar kisi itihasik imaraat me ho skte hain ya kisi dusre business se convert kar ke banaye jaate hain.

Family hotels iss baat par kendrit hote hain ki use pure parivar ke liye kis tarah se fimiliar bnya jaye. Inn hotelo me aamtor par bade kamre, jada bistar, or swiming pool hote hain. Or aise hotels ke location aksar park jese jagahe ke aas pass hota hai. Taki jada family attract ho.

Budegt hotelo me kamaro ke rate kam hote hain lekin iske sath hi us hotels ke facility bhi limited hoti hai. Budget hotelo ko banane me kam karch kiye jaate hain. Jis karan usme sor bahut rhta hai aksar 1 kamre ki awaj dusre kamre me sunai deti hai.

Budget hotels aamtor par un guests ke liye banaye jaate hain jo jada mahange hotels me nhi rok skte, halaki aajkar budgets hotels me bhi facility sudhari jaa hi hai. Inn sab ke alawa luxury hotels bhi hote hain jo aksar 4 to 5 star richard hote hain.

Dosto ye hotels aksar bahut costly hote hain halaki itne mahange hone ke karan unhe jada facility or subhidhayen deni padti hai. jisse guests satisfied hote hain. Luxury hotels me aamtor par room service, pass, ek darban jesi subidha di jaati hai.

Toh aap kis tarah ke hotel design krne ke bare me sochte hain ye apke pure business par effect dlata hai. 1 bar apne ek type ka hotel bna liya toh bad me usko dusre type me convert krna bahut muskil hai. Isliye aap hotel design krne se pahle kob research karen fir koi nirnai le.

Number 3: – Decide karen ki aap hotel khadrina chahte hain ya banana chahte hain. 1 hotel ko suru se banane ka faida yah hai ki aap apni ichha ke anusar usme chije dalwa skte hain jo aap apne hotels me dekhta chahte hain jisse apko lgta hai ki log apke hotels ke taraf attract honge.

Halaki 1 hotel ki banwane ki lagat bahut jada pad jati hai or ye location pe bhi depend krta hai, or agar aap kuch paise bachane ki chahat rkahte hain toh bana bnya hotel kharidna 1 dusra  option hai ye bhi puri tarah location pe depend krta hai. Ki 1 bna bnaya hotel apko kitne paise me milega.

Number 4:Hotel parmit or Licenses banwayen, apna hotel jaha kholne ka socha hai waha ke local government se apko kai tarah ke permit or licenses lene honge. Licenses prapat krne ki laagat apke business ki size par depend karti hai. agar apne location decide kr li hai or apki baki sari teyariyan ho gyi hai toh permit ke liye jald avedan krna uchit hai kyuki unhe approve hone me kafi samay lag jata hai.

Number 5: – Funding, jadatar log hotel ke sapne ko dhan ke karan pura nhi kar pate or jab aap 1 hotel business suru krne ke bare me sochte hain toh funding sabse important chijo me se 1 hai, sabse pahle apne hotel ka model banaye or calculate karen ki kitna budget lagega apne maan ka hotel kholne me.

Dosto jab apko clear hoga ki apko kol kitne rupaye ki jarurat hai, toh aap 3 tariko se iss punji ka intejam kar skte hain. taaki aap apna hotel khol sake.

Dosto pahla hai Self funding, agar apke pass bank me paryapt paise hai toh badhai ho apni hotel kholne ki pahli badha ko par kar liys hai sachedari me hotel kholna bhi 1 achha vichar hai kyuki ye nivesh ke jokhimo ko kam kar skta hai. Koshis kare ki apke pass apna paise jada ho taki apko intrest par kam se kam paise lene pade or sara profit apka apna ho.

Agar apke pass kuch paise kam hai toh second option ke rup me aap kuch paise loan le skte hain or aap chahe toh fund bhi ikkatha kar skte hain. apne chahne walo se lekin inn dono hi tariko me sabse badi dikkat yah hai ki apko intrest dena hoga ya fir 1 fix time par unke sare paise profit ke sath return krna hoga.

Conclusion

Dosto hame ummid hai ki apko ye hamara article bahut pasand aya hoga or hum apni puri koshis krte hain ki apko 1 hi article me puri jankari de sake. agar apka iss article ya topic se juda koi sawal hai jo aap hamse puchna chahte hain toh aap wo comment ki madad se puchh skte hain.

Dosto hum apke sabhi sawalo ka jawab denge, or age bhi isi tarah ke imformative articles ke notification ko pane ke liye hume follow jarur karen, iss article ko padhne ke liye apko Thank you.

Leave a Comment