India mein software companies acchi growth kar rahi hai aur ab har major city me software companies established hone lagi hai. Aise me agar aap bhi iss area mein apna business badhana chahte hain.
To aapko benefits jarur milega isliye aaj hum KnowYourAnswer ke blog main aapko software companies start karne ka process batane wale hain. Sath hi aapko software company ke different types ke bare mein to pata chalega. Isliye iss article ko end tak pura jarur jarur padhiye.
Software Company Kitne Type ke Hote Hain?
To chaliye shuru karte hain or sabse pahle software companies ke type jante Hain. India main aapko do type ki software companies milegi, pahli services ya consulting baeed software company aur dusri product ya development based software company.
Wipro, Infosys, IBM, Tech Mahindra software consulting yah service companies hain. Iss type ki company clients ko business consulting, information technology, software engineering or outsourcing services ki services provide Karate hain.
Jabki product ya development based software company ke pass aise products hote Hain Jo revenue mein 1 major portion provide Karate Hain. Amazon, Microsoft, Google, aisi hi companies hain.
India me Software Company kholne ka Procedure kya Hai?
Aiye ab batate hain India mein software company open karne ka step by step procedure kya Hai.
Pehla step hai ki aap apne business ke liye fund collect Karen. Apni business ke finding ke liye yahan to aapke pass sufficient fund hoga ya fir aap bank loan ki madad se aisa karne wale honge.
Achhi baat ye hai ki aaj ke time me aap cloud funding, Angel Investment or Venture Capital funding ka help bhi le skte hain.
Doosra Step aata hai business plan banane ka, kisi bhi business ko shuru karne se pahle business plan banana jaruri hota Hai. Kai bar iss step ko skip kar diya jata Hai. Isliye results satisfactory nahi aati hai.
Isliye aapko apna business shuru karne ki bhale hi kitni bhi jaldi ho, lekin 1 proper business plans jarur banaaiye jo ki deep research par based ho. Aur aapne iss field ke competitors ko bhi acche se observe kar liya. Is business plan mein software company ka type choose karen jo aapki business or knowledge ki according ho.
Or jisme aap jada achhi service de sakte ho. ismein aapko products or services ko bhi choose karna hoga aur specific audience ya market ko bhi target karna hoga.
Teesra step aata hai apne business organisation ka structure decide Karen. apne business ke liye software company ka right type choose karne ke bad are apko decide karna hoga ki aap business partnership mein shuru karna chahte hain ya nhi. Aap apni service pure desh me dena chahte hai ya sirf keval local community me.
Iske bad Chotha Step aata hai ki aap apne business ke liye Sahi area ya region select Karen. Aap kis tarah ke software type pe Kam karne Wale Hain Is per depend karega ki aapka product Puri Desh mein sell karenge local area mein. Lekin aapko apne business ke liye india ke aise area par toh focus karna hi hoga jaha par aapko sabse jada profit mil sake.
Panchma Step hai ki apne software company ko register karwaiye, aagle step me apko apni company ko register of company yani ki ROC me registered krna hoga. Iske liye apko apne ke liye 4 aise naam bhi dene honge jo ki abhi tak kisi company ke naam na hoo.
Iske alwa apko kuch forms bhi bhharne honge jisme apko software company ki basic personal information fill krni hogi. India me apni software company ka business suru krne se pahle apko legal entity ki jarurat padegi. Isi liye aap apne company ke liye suitable legal entity inme se choose kare.
1. Sole Proprietorship Firm – Dosto ise ek company toh nhi mana jata hai lekin kisi naye idea par kam suru karne ke liye ise 1 achhi legal entity mana jata hai.
2. Parthership Firm isme business owner ke sath co founder bhi hote hain jo milkar us business idea par kam karte.
3. LLPĀ yani Limited Liablity partnership ya Private Limited Company ise india me real business kaha jata hai or 90% se jada business onwers apni company ko isi naam se register karwate hain.
Software Company start krne se pahle apko inn common documents ki jarurat padegi Pan Card Copy, Adhar Card, Voter Id ya Driving License Address proof ke rup me. Business address proof ke rop me Utility Bills copy ya Rent Agreement copy bhi chalegi.
inke awla 1 software company suru krne ke liye apko license or legal registration ki jarurat bhi hogi. Jese ki consultancy business ke liye Service tax registration, STPI License, Trademark registration, Copyright Registration, Patent Registration or software lincense agreements.
Yaha apko STPI ke bare me jarur se jan lena chahiye apko apni company ya organization STPI yani Software Technology Parks in India me register bhi karwana hoga. Ye STPI license specially india ke new software company ke liye hote hain. Or unhe bahut si facility provide karate hain.
Jese ki 5 sal tak koi payment iske awla software products par koi import or export duty nhi, iske help se apko normal rate se kam rate me office bhi mil skta hai. Aap india me apni state ya department employment me khu ko 1 employer ke rup me register bhi karwa le.
Taki aap us state me apni job ads de sake or company ke open positions ke liye suitable candinates ko higher kar sake.
Chhatha Step hai ki aap location ko choose kare, apne office ke liye location choose karte time apko company ka size, employees, or us area me available technology or available resource jese ki internet connection ko dyan me rakhna hoga. Suruwat me apko office space me minimum investment hi krna chahiye.
Aap ise rent ya lodge par bhi le skte hain. Suruwat me office space me karcha krne se bache.
Satva Step jo hai Hire Energetic or Anthropological Staff ko hire kare. Apne software company ka setup teyar krne ke bad, apko aise skilled staff ko higher karna hoga jo aki company ko nai uchaiyo par lekar jayen.
Iske liye unme Android application ki knowledge or higher education or technical skills honi chahiye. Suruwat me aap 2-3 computer engineer or 1-2 programming professional higher kare skte hain.
Emloyees ko higher krte time apko freshers ko toh chance dena hi chahiye lekin apne spacific field ke liye professionalĀ engineer bhi jarur higher krne chaiye. toh dosto iss tarah sahi business plan, sahi business type or setup ke sath hi software company suru kar skte hain.
Conclusion
Hame ummid hai ki apko ye jankari pasand ayi hogi or ye apke liye kafi helpful raha hoga, toh dosto hame comment kar ke jarur bataye ki apko hamri konsi baat achhi lagi or kya kya apne already apply kar rakha hai.
Isi tarah ke or bhi article padhne ke liye hame follow krna naa bhule or iss article ko apne dosto ke sath bhi jarur share karen. Thank you so much.