Pata nahin ghoom phir ke ek savaal toh log aksar puchh hi lete hai bhai tumhara goal kya hai life mein? aur bade hi asani se puchh lete hain, ab ye to aap aur main hi janate hain ki is saval ka javab itna bhi aasan nahin hai, matlab kaun sa goal set kiya hai tumne?
matlab kya javab den, samjh hi nahin aata aur iska reason yahi ki pahle koi ye to bataye ki ye goal hota kya hai? baat to sahi hai to chaliye aaj ke iss article mein pahle toh ye pata lagate hain ki ye goal kya hota hai aur kya goal nahin hota hai?
Taaki goal banane ke liye clarity mil sake uske baad ham janenge ki goal banana itna important kyon hai? aur phir ham samjhenge ki goal kaise set kare ki ham use asani se achieve bhi kar sake toh yani aaj ka ye article apke bahut jyada help karne wala hai, isliye ise pura jaroor se padhiye aur ab chalte hai article mein aage aur janate hain ki ye goal hai kya?
Goal kya hota hai?
Apka goal apka lakshy vo hai jise aap achieve karna chahate hain? ye future ke liye apka vision hai ye vo desired result hai jise aap plan karte hain aur use achieve karne ke liye committed rahte hain goals aksar long term hote hain jo apki life aur career se related hote hain.
Ise aap ye bhi kah sakte hain ki goal aapka aisa sapana hota hai jiskiĀ ek deadline bhi hoti hai aur haan, objective resolution aur mission goal nahin hote haan, lekin ye goal achieve karne ke steps jaroor ho sakte hain to finally ye to pata chala ki goal kya hai lekin ye goal set karane ki jaroorat kyon hai?
To research ke according goal setting aur success achieve karne ke beech direct co-relation hota hai jitna properly define goal hoga, utne hi clear new behaviour strigar honge jo aapka focus un task par lagaenge jo sabse achieve karne ke liye important honge.
Yani goal set karke aap us direction mein badhana suru kar sakte hain jees direction mein apki success hai phir chaahe vo financial stability ho, fit body ho ya phir exam mein topper banana hi kyon na ho, ye kuchh bhi ho sakta hai aur goal setting se aap kuchh bhi achieve kar sakte hain.
goal setting se aap mein ek sense of purpose develop hota hai aapke future par aapko control milne lagta hai aap behtar karne ke liye motivated hote hain aur apni zindigi ko ek behtar shape de pate hain iska matlab goal set karna success ke liye vakai mein bahut jaruri hai, aap bhi isse agree karate hai na to chaliye aage pata lagate hain ki goal set karte samay kaun si baaten dhyaan mein rakhni jaruri hai.
Goal kaise set karen?
To sabse pahle aap apne passion ko considered karen yani aapko kya karna achha lagta hai? kya aapko inspire karta hai? is time ye bhi dhyaan rakhen ki apka goal meaningful ho aur use achieve karne ke bad aapko proud feel ho jaise shayad aap ek best seller book likhana chaahate ho ya phir ek singer banana chaahate ho ya phir IIT mein admission lena chaahate ho.
Realistic goal banaiye jinhe aap achieve kar sake aur jo aapke control mein ho jaise player ke liye koi trophy achieve karna, ek employee ke liye apne office ki highest position tak pahunchana etc.
To chalie goals meaningful realistic aur proud feel karane vale hone chaahie ye jaanane ke baad ab aage jaan lete hain goal setting ke vo steps jo aapke life goals achieve karne mein apki bahut sari help karenge.
1. Create Smart Goals
Number ek par hai smart goals banayen goal achieve karne hain to unka smart hona jaruri hai aur is smart mein S for Specific, M for Measurable, A for Attainable, R for Relevant and T for Time-Bound hota hai to agar aapka goal ye sare conditions ko full fill krta hai toh vo ek perfect goal hai jise achieve karne mein aapko abhi se jut jaana chaahie.
Jisase aapko ek particular field mein engineer banana hai aur limited time period mein top company mein expected salary package par include hona hai iske liye aap entrance exam ko crack karenge, top institute mein admission lenge, high scores laenge aur phir aapka engineer banane ka aur apki desired company mein include hone ka goal achieve ho jaega.
yahaan par aapko ek dam clear karna hoga ki aap kaun se engineer banane vaale hain, kaun see company, kitni salary, kaun sa institute, kaun si grade etc. tabhi to aapka ye goal smart goal hoga jisase aap achieve kar paenge. aur haan ya to aap smart goals ko set keejiye ya fir goals banaaye hi mat lekin aap kah rahe hain ki nahin, goals to banaane hi hai, yah pakka hai koi kaam karte hain ise baat par ham thoda aage badhate hain.
2. Write Down Your Smart Goals
Numbar do par hain apne goals ko likh lijiye goals ke baare mein sochte rahne se kuchh bhi nahin hoga aapko unhen pen paper le karke likhna hoga taki vo apko jyada real lag sake aur baar baar aapke samne rahe aur aapko pata hai jo log apne goals likh lete hain unke goals achieve karne ke chances high rahte hain bajye unke jo goals ko likhne mein bhi aalas mahasoos karte hain, isliye goals vakai mein achieve karne hain to unhen likh lijiye aapko faida hi hoga
3. Make Your Goals Visible
number teen par hai apne goals ko visible banaye aapke goals likh dene ke baad unhen kisi aise jagah par rakhiye jahaan par aapki najar baar baar padti ho taki aapko lagatar ye yaad rahe ki aap kahan par pahunchana chahte hain, ise aap apni study table par fridge par ya mirror jaise kisi bhi place par stick kar sakte hain.
4. Break Your Goals
Number chaar par hai apne goals ko break kariye goals aksar long term hote hain aur agar goal poora karana hai to use chhote chhote small steps mein break karna hoga yani ke unhen divide karna hoga iske liye aap ek ladder yaani seedee bhi bana sakte hain.
Jismen pahle se last step tak pahunchate pahunchate aap apna goal achieve karenge, jaise top company mein include hona? aapka main goal hai to aapka pahla step hai 12th mein high score aur second step hoga entrance exam ko clear karna aur is tarah aap iske aage ke saare steps neeche se upar ki taraf badhte hue likh lijiye.
Jo main goal par aakar complete ho ise aap is tarah se bhi samjh sakte hain ki agar apne five year goal set kiya hai to use aap one year goal, six year goal, one month goal or one week goal jaise small steps mein break kijie aur uske according conatsant li kaam karte rahiye.
5. Make A Plan To Achieve The Goal
Numbar paanch par aata hai ab goal achieve karne ke lie ek plan banaiye ab apko ye to clear ho hi gaya hai ki apko kaun kaun se small steps ke throw main goal tak pahunchana hai to phir ab aage har ek step ko execute karne ke lie ek clear plan taiyaar kijiye, yani har ek step ke liye ek plan jisme aap ye clearly samjh saken ki kaise aap is ek step ko poora karne vaale hain.
6. It’s Time To Take Action
Number chhah ab bari ayega action lene ki har step ke liye plan taiyar ho gaya yani aap goal achieve karne ke liye taiyaar hainĀ aur isliye ab action jaruri hai aur ye filmen action nahin apke life ko track par daudaane ke liye action isliyeĀ pure tarah se active rahte hue apne plan ko follow karte jaiye.
Is dauraan time boundation deadline ka poora poora dhyaan rakhen aur haan, saath mein apka excited aur motivated bane rahna bahut jaruri hai ye yaad rakhiye kyonki apka sapna poora hone vala hai bole to aap apna goal achieve karne vale hain.
7. Evaluate Your Goals
Numbar saat par hai apne goals ko evaluate keejiye action lene ke baad apne goal ko evaluate karna bhi jaruri hoga isliye har step ko pura karne ke dauraan apne progress evaluate keejiye taaki apko pata chal sake ki apne kitni doori tay kar li hai.
Ise apne kya seekha aur is dauraan kitni mistakes repeat huee hai, use improve karte jaiye aur apka aage ka raasta aur bhi clear hota chala jayega.
8. Reward Yourself
Number aath par hai khud ko reward deejiye goal long term ka hai, isliye beech beech mein aap dull bhi feel kar sakte hain thoda sa niraash ho sakte hain to aise mein agar aap beech beech mein khud ke achievement par khud ko reward denge to ye bahut hi achha hoga isliye is baare mein bhi jaroor se sochyega.
9. Maintain Positive Attitude
Numbar nav par hai postive attitude banaye rakhen goal chhota ho ya bada, use achieve karne ke liye apka postive attitude bane rahna jaruri hai aur agar aap apne har small goal ya step ko postive ve mein hi express karenge to ye jaida effective ho jayega.
Iss process mein apko in nav steps ke alava kuchh aur bhi baaten hain jo dhyaan mein rakhni hai jaise ki apko machine ki tarah perform nahin karana hai ye zindigi ko balance rakhate hue hi aage badhana hai.
Iss journey mein kai sari obstacles ayenge jinse darna nahin hai kyonki journey hai to obstacles natural hain, isliye inhen easily handel karna hai aur agar kisi vajah se aap limited time period mein apana goal achieve karne se chuk jaye to bhi disappoint nahin hona hai.
Khud ko pressure mein nahin dalana hai kyonki ho sakata hai ki aap ka goal puri tarah realistic na ho isliye vo achieve na ho paaya ho to aise mein apko demotivate nahin hona hai, apne galatiyon ko samajhen aur phir se shuruaat karen ho sakata hai is time par apke goals mein kuchh variations aur changes aaye to unhen accept kijiye.
Life goal set karne se dariye mat koshish kijiye, aage badhiye, gir jaye to phir uthiye aur haar jae to phir shuroo kar dijiye jeet ki teyari kyonki life yahi hai, doston jisme aap ka jazba bana rahe aur iraada buland rahe.
Conclusion
Agar ye article apke life ko ek right direction dene mein thodi bhi help kar paaya ho toh please doosaron ko bhi ye faida milana chaahie yani ki apko ise share karna chahiye. Baki comment section mein likh kar ke please aap apni rai, apna pyaar hamare sath jaroor share kare iske alwa koi aur savaal hai ya koi aisa topic hai jisapar aap article padhna chaahate hain toh vo bhi hamen likh bhejiye.