How to Get Up Early in Morning?

Hum sab zindagi mein successful hona chahte hain, bahut kuchh pana chahte hain bade saare hamaare goals hai, lekin subh jaldi nahi uthana chahte jabki yah baat ham jaan gaye hain ki successful log subah ka sahi istemal karte hain aur early risers hote hain.

Ye sab pata hone ke baavajood bhi shayad aap bhi alarm ko baar baar band karate huye sote rahna pasand karte honge to aise let risers ka din uthane ke baad aksar disturb hi raha karte hai kyonki vo apne har task mein late hote jaate hain.

Toh aise mein agar aap early riser hai, jaldi uthte hain to comment box mein likh karke jarur batayen aur agar aap late riser hain yani subah der se uth paate hain, lekin chaahate yahi hain ki kaise bhi karke subah jaldi uth paye to yah article apke liye hai.

how-to-get-up-early-in-morning

Subah Jaldi Kaise Uthe?

Aaj ke KnowYourAnswer ke is article mein ham apko subah jaldi uth paane ki kuchh bahut hi aasaan se tricks bataane wale hain lekin ye tricks tabhi kaam karenge jab aap inhen follow karenge to in tricks ko jaanane ke lie is article ko last tak jaroor padhiye aur inhen follow karke early raiser ban jaaye.

To chaliye shuroo karte hain aur jaanate hain early morning uthane ke liye 8 simple aur bahut hi effective tricks asal mein subah jaldi uthana chhoti chhoti trick se milkar bana ek process hai jise apko follow karna hoga aur agar apne ise follow kar liya to bahut jald success apko follow karna shuroo kar degi isliye dhyaan se padhiye.

Trick 1

Pahli trick hai ki alarm set kijiye sunane mein bada ajeeb laga hoga ki alarm set kijiye ye bhi koi trick hui kya? lekin yahi to sabse pahla trick hai ki alarm ko set karna hoga aur khud se ye kah kar so jaiye ki jis time alarm bajega, usi time main uthakar baith jaunga isme twist bhi hai ki aap uthne ke baad snooze button ko use nhi karenge.

Trick 2

Agla trick number 2 hai, dheere dheere aage badhiye alarm toh aap har raat set karte hain aur subah usi set alarm ko sunkar upset ho jaate hain, ise thoda sa challenging aur exciting banaiye taaki subah mood kharaab hone ke bajaay winner hone ki feel aaye.

Iske liye apko bas itna karna hai ki abhi jees time par aap uthte hain usse keval 15 minute pahle ka alarm lagayen aur alarm bajte uthkar baith jayen yani agar aap 8 baje uthate hain lekin 6 baje uthana chaahate hain to seedhe hi pahale din 6 baje ka alarm mat lagaiye, balki 7 bajakar 45 minute ka alarm set kijiye.

Kuch din isi time par uthiye jab tak apki body is change ko accept na kar len kuchh din baad jab aap 15 minute pahale uthane ke habitual ho jaenge ye aadat apko lag jayegi tab alge 15 minute pahle ka target le lijiye aur har subah winner bankar is victory ko enjoy kijiye.

Trick 3

Tisre number ki trick hai ki jyaada sochne se bachiye, alarm bajne par uthakar baith na phir bhi thoda easy task hai, lekin bistar se nikal kar khade ho jaana late risers ke liye kisi challenge se kam nahin hai.

Isliye is situation se bachane ke lie apko ye karna hoga ki alarm bajte hi uthakar baith jaiye aur uske ek minute ke andar andar bistar se bahar aa jayen, aisa karna isliye jaruri hai ki baithe baithe dimag sone ke faide ginaane lagata hai.

5 minute aur so jaata hoon 2 minute aur phir uth jaunga pakka pakka pakka karke hame pata hi nahin chalta hai ki kab hamne apne aap ko cheat kiya hai kyonki use abhi tak is routine ki aadat nahin padi hai.

Aur phir aap wapas so jaate hai aur is challenge mein subah subah hi fail ho jaate hain isliye jyaada sochane se bachiye aur chutaki bachane ke saath hi khade ho jayen aur khud se kahen good morning winner.

Trick 4

Isi ke sath aage trick number 4 hai, alarm clock ko bed se door rakhiye agar wakai mein aap subah jaldi uthna chahte hain to alarm ko bed ke paas rakhane ki bajaay door rakhiye, taaki alarm bajne par na to aap neend mein use band kar den aur na hi snooze button daba den.

Balki khade hokar alarm off karne jaye, itna karne ke baad apko khade ho jaana hai aur bedroom se bahar chale jaana hai taaki apko dubaara sone ka mauka hi na mile agar iske baad bhi aap wapas so jaate hai to phir apko is challenge mein apni haar manani hi hogi.

it’s your choice ki aap jitnaa chahte hain ya haar maan kar khush hain to ye apko decide karna hai.

Trick 5

Aage paanchaveen trick hai jaldi uthane wale jaldi sote bhi hain, agar raat ko der tak TV aur internet dekhte rahenge to subah aap late hi uthenge sath mein thakaan bhi feel karenge.

Aur apki thaki huyi aankhen apko uthane se rokengi isliye agar jaldi uthna chahte ho to jaldi sona bhi shuru karna hoga sone se ek ghante pahle hi tv aur internet se doori banani hogi aur bhale hi neend nahin aa rahi ho.

Roz bed par baith kar kitab padhne ki aadat apko dalani hogi aisa karke knowledge badhegi, mental health improve hogi, nind jaldi ayega aur subah aap ekdam fresh honge.

Trick 6

Aage chhathe number par jo trick hai vo ye hai ki kabhi kabhi challenge se break bhi lijiye is task ke shuruaati dino mein aap chaahen to ek din jaise sunday ko thoda der tak so skte hain.

Ise aap apne liye ek advantage smjh sakte hain, aisa kar ke aap break feel karenge or agle week task jada achhe se prform kar payenge lekin agar aisa sirf aap shuruwaati dino me karenge toh jada achha rahega.

Bad me jab aap jaldi uthna sikh jayenge toh apko late sona pasand hi nhi ayega or iss tarike se apki problem solve ho jayegi.

Trick 7

Aage trick number 7 hai ki extra time ko enjoy kijiye, subah agar aap jaldi uth ke tv ya fir internet dekhne wale hain toh fir isse behtaar yahi hoga ki aap late tak sote rahen, kyuki aisa krna toh subah ki achhi shuruwaat bilkul nhi ho skti.

Iske bajaay aap subahe uthkar subahe ki taazgi ko feel kijiye aur exercise aur yoga jaisi activities se apni physical aur mental health ko behatar banaane ke efforts kijiye.

Trick 8

Aage trick number 8 hai ki din ki shuruaat coffee se na kare bahut mushkil hai ye kaam kyonki bahut se log subah coffee pine ke saath hi apni aankhen kholate hain jaise ki chai ya coffee to aisa na kare kyuki ye nukasaan daayak hai.

Aap ek healthy lifestyle chahate hain tabhi to subah jaldi uthana chahate hain isliye coffee se din ki shuruaat karne ke bajaay gunaguna pani piyen aur kuch time ke baad aap fresh fruit jaise ki apple kha sakate hain.

To doston problem ka jo solution hai na vo to hamne bata diya hai lekin ye effectively tabhi kaam karega jab aap is par kaam karenge, apne efforts banayen rakhenge aur self motivate rahte huye roz is challenge ke winner banana chaahenge.

Isliye is baar subah uthane ki aadat daal hi lijiye taki daily life sahi track par daudana shuru kar sake aur vo jo bahaane ham pura din banate hain, dimag ki puri energy khafa ke ki ye bahaana bol denge, vo bahaana bol denge kaam kyon nahin hua?

Bahut sare hum excuses banate hain sirf ye jataane ke liye ki kaam hamane complete kyon nahin kiya? to sabke paas 24 ghante hi hote hain aur ye jo subah ka time hai, bahut hi amazing hota hai.

Agar aap ise use karate hain, apke sare kaam bhi complete ho jayenge aap relax rahenge aur jo magazmaari aur bhaaga daudee pure din rahti hai vo suddenly gayab ho jayega, to is feez ko feel karne ke liye, is ka aanand lene ke liye sab kuch life mein ekdam smoothly chale uske liye apko thodi mehanat to karni hi hogi.subah jaldi kaise uthe

Conclusion

Aur isee ke saath hum ye ummeed karte hain ki is article ke padhne ke baad apko subah jaldi uthane ke tips end tricks janane ke liye koi aur article padhne ki jaroorat nahin padegi aur ye article apki puri madad kar sakega.

Ise aage bhi aise jaanakaariyaan lene ke lie apko kya karana hai? KnowYourAnswer ko follow karake ko blog ke notification ko on kar lena hai aur baki sabhi logon ko is article ko share karna ekdam na bhoolen taaki baki log bhi jo effort kar rahe hain har din, unhen bhi madad mile.

Isi ke saath aage kis baare mein aap jaanana chaahate hain? koi saval hai jis se aap pareshaan ho rahe hain? apko solution nahi mil raha hai to aap hame us sawal ko comment box mein likh karke jaroor bataen aur isi ke sath apna bahut saara dhyaan rakhen thank you.

Leave a Comment