How to Become Sketch Artist?

Hey, hello namaskar dosto ek baat bataye kya apko arts pasand hai, kya sketch banana apko bahut achha lagta hai or kya aap sketching me hi apna career banane ke bare me soch rahein hain?

Agar haan toh ye wakaai me ek achha soch hai, kyuki aap apne passion ko follow karte huye ek sketch artist ban skte hain, Aur apne skills or talent ke dam par shaandar career bna skte hain.

Lekin iske liye apko kya karna hoga or kese krna hoga ye sab bhi toh janana hoga isliye toh humne aaj ka article likha hai, jisme hum apko sketch artist banane se jodi sari baatein batane wale hain.

Isliye article ko last tak jarur padhiyega taaki aap ye decide kar paye ki sketch artist banana apke liye perfect career option ho skta hai ya nhi?

how-to-become-sketch-artist

Sketch Artist Kon Hote Hain?

Toh chaliye shuru karte hain or sabse pahle jante hain ki sketch artist kon hota hai. Aksar ye smjh liya jata hai ki ek sketch artist wahi hai law enforcement ke liye sketches banata hai, lekin aisa nhi hai asal me sketch artist wo hai jo sketching techniques ka use kar ke images ko create krta ho.

Jab camera nhi hua karta tha tab sketch artist hi apne talent se courtroom proceedings ko bhi showcase karte the, kisi author ki book me uski vision ko bhi capture karte the, Advertising me, newspaper me or magazines me bhi apna talent show karte the.

Aur aaj sketching ke liye craze fir se badha hai isliye sketch artist ke liye scope bhi bna hai, ab arts lover ki koi kami nhi hai isliye arts gallery or museums ki wall par bhi artist ke sketches display hua karte hain.

Sketching aisi art hai jisme artist ka export hona jaruri hai taaki wo pencil, chalk or colors ka use kar ke people places or things ko perfectly display kar saken, wese apko bhi aise hi sketches pasand aate hain na jo hubahu uss person, thing ya place jaise ho.

Jise dekh kar sketch banaya gya ho toh yahi ek sketch artist ki expertise hoti hai ki usme expression or emotions ko ekdam satik tarah se express kiya ho.

Yaha tak pahuchne ke liye dher sara passion, interest or practice ki jarurat hoti hai or haa creative mind or imagination toh iss profession ki pahli demand hi samjhiye.

Successful Sketch Artist Kaise Bane?

Ek successful sketch artist banane ke liye jaruri hai ki apko perspective, contrast, shadows or light ko iss tarike se apply krna aata ho jisse realistic image teyar ho saken. Sketch artist aisa professional hota hai jo different purposes ke liye sketches or drawing banata hai.

Ek sketch artist architect form me bhi employed ho skta hai jaha wo buildings or homes ke sketches bananye, wo police department me bhi employed ho skta ha jaha victims or crime scenes ke sketches banane ho.

Kuch sketch artist padhana pasand karte hain toh kuch cartographer or scientist ke sath kam karna pasand karte hain, jo sketch artist police department ke liye kam krte hain unhe forensic artist kaha jata hai.

Aur unhe kuch dekhe sirf victus ki memory ke base par ekdam realistic or accurate picture banana hota hai. Ab ye artist ki choice hoti hai ki wo konse field me work krna chahta hai yani wo entertainment field me work krna chahta hai ya fir forensic artist ki tarah work krna chahta hai.

Sketch Artist Banane ke liye Skills

Sketch artist banane ke liye bahut sari aise skills ka bhi hona jaruri hai jo apko ek successful sketch artist banane me help karengi, yani perfect or realistic artist banane ke liye artist me Perspective, proportions, composition, anatomy, lighting, edges, gesture, concept, style ki great knowledge hona toh jaruri hai hi.

Sath hi uske pass great hand eye coordination, study hand and strong listening and communications ka hona bhi jaruri hai. Aur ek courtroom sketch artist ke pass accurate technical skills ka hona bhi jaruri hai.

Wese skills ke bad agar ye jane ki ek sketch artist banane ke liye kis tarah ki education ki jarurat hoti hai, toh u toh sketch artist bananeke liye kisi tarah ki formal education ki jarurat nhi hoti hai, lekin aise artist jo apne art career ko lekar bahut serious hain.

Sketch Artist Banane ke liye Education

Aur ek successful sketch artist ke tor par naam or paise kamana chahte hain wo apne career ko secure karne ke liye formal degree le skte hain jo unke talent or skills ko support bhi karen, develop bhi karen or hiring ke time par preference bhi dila saken.

Kyuki kai employers degree ke base par job offer karte hain or kuch employers experience ke base par bhi, agar aap freelance work krna chahte hain toh bhi same scenario apko mil skta hai, jisme kuch clients ke liye apka talent or work hi kafi hoga.

Jabki kuch clients or companies apko work offer krne se pahle apka kam dekhne ke sath sath degree bhi expect kar skte hain, isliye behatar yahi hoga ki jise aap career banane ki sovh rahe hain uski nibh ko pakka karen.

yani educational level par bhi achha perform karen, Iske liye aap drawing or painting me bachelor degree bhi le skte hain or fine art se graduate bhi ho skte hain, aise online bahut se diploma courses or certification bhi available hain jinke jariye aap apni sketching skills ko enhance bhi kar skte hain.

Sketch Artist Online Course

Aise kuch online courses hain skillshare ka ink drawing technique, skillshare ka getting started with drawing, udemy ka character art school, udemy ka anatomy for figure drawing or portrait drawing etc.

Required education ke sath apne work ko showcase karne ke liye ye behtar hoga ki aap apna portfolio bhi bnay, apne course ke dooran bhi bahut se assignment ko pura karenge, jinme se aap apne best work ko portfolio me showcase kar skte hain.

Aur jaise jaise apki sketching skills me progress hoti jayegi apne portfolio ko update karte rahiye or haan india art festival bhi isme apki help kar skta hai jo ek commentary art fair hai art gallery, art dealers, online art galleries or independent artist ko promote karne me help krta hai, or iss tarah proper skills or knowledge ki help se aap ek successful sketch artist ban skte hain, Aur apne iss passion ko successful career me convert kar skte hain.

Conclusion

Dosto agar article apke liye helpful raha ho toh or apko pasand ayi ho toh please ise kar dijiye or alga konsa topic hai jiske upar aap article padhna chahte hain uska naam hame likh bhejiye or hamare blog ko follow krna bilkul na bhulen.

Milenge bahut jald hi or aise jankariyo ke sath tab tak ke liye dhanyawad.

Leave a Comment