How to Start a Bookstore with Full Case Study?

Hamne se bahut se aise log hain jo apni hoby me likhte hain ki unhe padhna bahut achha lagta hai, Story books ho, Thriller, Novels ho ya Magazine reading ki aadat hamesha hi achhi maani jati hai.

Digital platforms ke chalte aajkal kitabo ke audiobooks bhi log bahut sun rahe hain, par padhne ka asli maja toh kitabo par chhape aksharon se aata hai, bahut se logo ko nayi kitabo ki khushboo bahut pasand hoti hai, jaise mujhe bhi bahut pasand hai.

Ab aap kisi bhi tarah ka reading kyu na karte ho, Kitabo ke liye apko bookstore par jana hi padhta hai, or aaj ke iss article me hum apko batayenge ki aap kese apna bookstore khol skte hain, or iss business me kaamyabi paa skte hain.

how-to-start-a-bookstore-with-full-case-study

Bookstore kaise kholen?

Toh KnowYourAnswer par swagat ha apka toh chaliye aaj ke article me aage badha jaye or jana jaye, toh market or book printing industry ki baat kare toh apne desh ki aabadi ke lihaaz se india ki reading or book industry bahut badi hai.

Approx ye 26,000 Crore ki hai, India me jadatar log apni puri zindagi me 1 se 5 kitab tak padh dalte hain. Schhol, collage ke alwa bhi apne desh me log Adventure, Fiction, Self-help kitabe or Romance wale novels padhna pasand karte hain.

Iske alwa bhi yaha akhbar ka bahut jada craze ha, Hindi or english ke alwa bhi yaha par har state me regional newspaper nikalte hain jiski ek badi readership available hai, isliye bookstore ka business india me bahut hadtak successful hai.

Covid-19 ke ane ke baad se online kitabe kharidne ke trend me jabardast jump aaya, par chhoti jagaho par aaj bhi bookstore se hi kitabe khaidne ka chalaan hai, aaj bhi pen, pencil, newspaper, bachho ki kitabe, school, collage ki materials, higher studies ki kitabe ya jo bhi reading material hame chahiye hota hai, inke liye hame book store dhundhna padta hai.

Iske alwa bhi competative exams ki teyari ke liye Question Bank, Solved Paper, Books, Short Notes, General Knowledge, Current Affair jaise kitabo ka thikaana bhi ek bookstore hi hota hai. Nursery selekar P.hd tak ke kitabo ke liye log store ko hi priority dete hain.

Bookstore Profit

Ab bookstore ki mamle me profit margin ki baat ki jaye toh ek bookstore me bahut sari chije hoti hai jaise ki kitabe, pen pencil, school material, notebook, sports kit, office materials, toys, novels, gift items, news papers etc.

Dosto inme se sabse jada demand kitabo or school materials ki hoti hai, books store ki business krte huye agar isme profit ki baat kare toh kamai toh honi hi honi hai, alag alag items par alag alag profit margins hote hain jaise kitabo par 10% se lekar upto 30-40% tak, school material & notebook par 30% se lekar upto 60% tak, sports kit par upto 30-40% tak kamai hoti hai.

Toh wo chije jo demand me hai or aap uske sath deal kar rahe hain toh apko iss business me faida hi hoga, agar bookstore sahi jagahe par hai or apke area m school, office, collages, government exams ki teyari krne wale students rahte hain toh aap hamesha demand me rahnege.

Bookstore Business Model

Agar bookstore ki business model ki baat ki jaye toh ye distributo, wholesaler or retailer tin tariko se kiya jaa skta hai, agar aap distributor bante hain toh kisi 1-2 ya usse jada companies ya publishers ke book rakh skte hain.

Books lene ke bad apko schools or collage ko approach krna padta hai ki wo apke batye publishers ki kitabe lein, kitabe pasand ane par agar apko order mila toh apka business grow krta hai.

Sub-Distributor ka kaam bhi lagbhag distributor ki tarah hi hota hai or uske bad aata hai retailer jo apni dukaan ya store par customer ki demand ko dekhte huye apna stock rakhta hai, or unse apna profit bhi nikalta hai.

Kisi bhi distributor ya sub-distributor se stock lene se pahle unki terms and condition ki jankari le lijiyega. Ki apko kitna profit bachega or kitabenhi biki toh return lenge ya nhi, return par apko cash milega ya uske badle koi or kitab di jayegi.

Target achieve karne par apko kya benefits milenge or koi tour package, gift ya monetary faida hoga ya bhi nhi, award diye jayenge ya nhi, aesi bahut bateein.

Kisi bhi distributor se uski marzi ke mutabik stock mat lijiye, apni financial capacity, market me demand or goodam me capacity ke hisab se hi book ka stock order karen. Taki aap pe unnecessary budden na aye, or aap bina headache ke business kar payen.

Aap kis state me hain, kis area me hain, apke waha konse school hain, kis board se padhai ki subidha hai usi hisab se apko apna distributor ya publisher select krna hoga, jo hindi, english or regional language me ho skte hain.

Bookstore kholne ke liye Investment

Dosto itna sab janane ke bad aab bari aati hai investment ki, kisi bhi business ki sabse badi requirement hoti hai punji yani business capital ki, agar small scale par aap bookstore ka business krna chahte hain toh 3 se 5 lakh ki laagat se aap easily shuruwat kar skte hain.

Par sabse jada paise lagte hain kitabo ka stock maintain krne me, aap apne stock financial capacity or market ke demand ke lihaaz se maintain kar skte hain, jo 10 ae 50 lakh ya usse bhi jada lag skta hai, iska koi limit nhi hai.

Iske alwa dukaan banwana, dukaan ka rent, license, gst, stuff ki salary, samaan mangwane, godam ka rent, maintenance, billing system jesi chij par bhi kharcha aata hai. Inme bhi apka kharcha apka investment ke hisab se aata hai. Jitna bada business uthna bada investment.

wese agar license ki baat ki jaye toh aapko apna business registration lena padta hai, kinke naam se business shuru ho rha hai, iskebad trade license local authority nagar nigam panchayat office se nikalwana padta hai jiska jada kharcha nhi hai.

Kitabo pe ya kisi bhi tarah ke printed books pe gst nhi lagta hai isliye aap apne customers se gst charge nhi kar skte hain. ya aap khud customer hain toh apko gst nhi deni chahiye, iss baat ka dhyan rakhen.

Or business karte samay agar apka business 20 lakh ke yearly turnover par pahuach jata hai toh gst ki jarurat padti hai, baaki aap tax dene ke hisab se itr file kar skte hain.

Bookstore ki Structure

Wese bookstore ke structure ke bare me apne kuch socha ha toh chaliye ye bhi discuss kar lete hain, bookstore banwate samay apko kuch chijo ka dhya rakhna hoga jese ki apki location aesi honi chahiye jaha se aap apne customer ke liye easily accessible ho saken.

Isliye chhoti area ke market me koshish karen ki bus stand road me ya kisi market complex me dukaan li jaye, jaha aate jaate logo ki nazar me aap aasani se aa jayen, agar kisi bade seher ki baat ki jaye toh aap school collage ke samne main market me, waha jaha samne dher sari kitabo ki dukaane hain, aap asani se dukaan khol skte hain.

Bookstore ka structure bhi aisa hona chahiye jaha kitaabo ko asani se rakha ja saken, school ki kitabe ek taraf, exam ki kitabe ek taraf, news paper or magazine ek taraf, office material or sports good in sabka well maintained hona jaruri hai, taki jarurat par chije asani se nikali ja saki or store ka overall look bna rhe baki aap decoration ke liye apne hisab se kharcha kar skte hain.

Bookstore Business ke liye Tips

Wese business ke tarike ke bare me baat kare toh normal buying selling ke alwa bhi apko apna business badhane ke liye apko apne tarike dhudhne padenge, jaise ki baki bookstore ke mukable aap thoda discount denge toh customer base badha skte hain.

Online advertising se bhi aap apna business logo tak pahucha skte hain, agar aap bade bookstore ya distributor ke owner hain toh kitaboo ki home delivery bhi aap de skte hain, iske alwa bhi agar koi kitab padh chuka ha or ab use uski jarurat nhi ha toh aap use kam rate me kharid kar ke new se used rate me bechkar bhi paise kama skte hain.

Aajkal website kafi kam karche me ban jati hai toh website bhi develop karwa skte hain or social media ke jariye bhi apna marketing kar skte hain, jaise nayi kitabe ane pe, naye stock ane pe, nayi edition ane pe offers ya discount ka details aap insta ya facebook par share kar skte hain.

Payment ke liye aap cash ke alwa or debit ya credit card ke alwa baki jitne bhi digital payments hain wo jarur se rakhiyega taki logo ko jada payment option mile, jarurat ke hisab se khud ko hamesha teyar or updated rakhiye isse apko bahut sara faida hoga.

Agar apke aas paas tuition ka culture hai toh tuition padhane wale teachers se apka relation apko business growth de skta hai, teacher apne students ko apke store ke bare me bata kar usko apke store par divert kar ke or ap teacher se  thodi profit share kar skte hain.

Aage franchise business ki baat kare toh logo me kitabe padhne ki deewangi kabhi khatam nhi hogi, isliye apko har bade saher me koi na koi popular kitab ki dukaan toh mil hi jayegi. Jaha par kitabo ka collection dekh kar dil khush ho jata hai.

Aisa hi ek naam hai Crossword or inki store deshbhar ke lagbhag sabhi sahero me mil jayegi, toh aise popular bookstore ka franchise model available hai toh enquiry kar ke apne saher me bhi franchise le skte hain.

Crossword ke website par franchise enquiry ka option ha agar aap interested hain toh waha se sari jankari juta skte hain.

Bookstore Sport Goods & Newspaper service

Ab aage baat krte hain new paper service or sport goods ki jab bhi logo ko aakhbar padhna hota hai toh wo aas paas koi bookstore hi dhundhte hain, kyuki aksar bookstore par newspaper or magazine mil jate hain.

Isliye apke hisb se jo newspaper popular ha wo apne pass rakhiye or unki home delivery ki facility bhi aap de skte hain, magazine par bhi cooking, fashion, makeup, women centric, page 3 or sports magazine logo ko padhna bahut achha lagta hai.

Isliye inka bhi achha collection apke pass hona hi chahiye wese koi aisi chij jiski demand bhaut  kam hai toh kisi ek customer ki request par use laane se pahle advance le lijiye ya jabtak wo 2-3 bar enquiry na karle tab tak samaan mat mangwaye, pata chala apne samaan toh mangwa liya or customer dubara aaya hi nhi toh nuksan hota taay hai.

Iske alwa toys, sport goods, bat ball, football, sport shoes or office material ki bhi achhi demand rahti hai toh waha se bhi business badhane ke mauka rahega, dheere dheere market me apki badhti popularity ke bad me aap wholesale ya supplier wale hoby me bhi jaa skte hain.

Taaki agar apke aas paas koi or chhoti dukaan khuli toh aap unhe chije deliver kar ke profit kama sake,iss business me utarne se pahle apka khud ka market research or bookstore ke business ko samjhna bahut jaruri hai, iske liye aap apne kisi janane ki help le skte hain jab apki jankari jab apka confidence badhane lage toh aap apne kadam aage badha skte hain.

Apke area me kya ho rha hai konsa school khul rha hai, konsa naya office khul rha hai inn sabki jankari apko honi chahiye taki aap aage badh sake unhe approach kar saken or unhe ye assurance de saken ki apse samaan or apki service kyu leni chahiye, yaad rakhiye business apke saukh se nhi apke banaye gaye relationship se chalti hai.

Conclusion

To ummid karte hain dosto ki iss case study article se apko bookstore kholne ke liye sari jankaariyan mil gayi hongi, ye jankari ye article apko kesa laga hame comment box me likhkar jarur batayen, sath hi sath or bhi koi topic hai jiske uapr aap article chahte hain toh please wo bhi aap hame jarur batayen.

Leave a Comment