Jaha Sumsung or Apple jesi badi badi companiya hain. Jo advertisement me arbo kharch karti hai waha kisi bhi nayi mobile company ko kholne ke liye kai bar sochna pad skta hai.
Lekin Xiaomi or OnePlus jesi companiyo ne bata diya ki nayi company ko market me lana utna bhi muskil nhi hai. Inn companiyo ke mobile phone ki aaj market ke dhum hai. ye 1 udaharan hai jiske anusar market me kuch bhi kiya jaa skta hai. Chhahe aap pahle se 1 smartphone company chala rhe ho ya suru krne ki soch rhe ho. ye article aap sabhi ke liye hai.
Aaj ke iss article me hum baat karenge ki kese aap smartly 1 mobile phone company khol skte hain. Or usko successful bana skte hain toh bane rahiye hamare sath ant tak. Dosto blog suru krne se pahle KnowYourAnswer.Com Blog par apka swagat hai.
Mobile Compnay Khada Karne Ke Liye Kya Kya Karna Padta Hai?
Toh dosto chaliye sabse pahle yah jante hain ki 1 Mobile Company kholne ke liye kya kya karna hota hai.
Dosto har chij ko dekhne ke 2 tarike hote hain. Pahla toh ye hai ki mobile phone company suru krna koi aasan kam nhi hai. Iske liye apko sarkari farm se manjuri leni hogi, factory or office established krna hoga.
Dosto uske bad fir iske liye Production Components or Electronic Equipments kharidne honge. Lekin wahin isko alag alag tarike se dekhe toh ye uthna bhi muskil kam nhi hai. Kyuki kai sari private companiya hain jo software company ke sath Electric or Electronic upkarno ka business karti hai.
Or dosto wo naye entrepreneurs ki madad karte hain, Iske sath hi apps ke liye madad mil jati hai. Apko bas paiso, machine, man power or manufacturers ke sath sath enough investment, time or jagahe ki jarurat hai.
Micromax, Lava, or Carbon nayi nayi companiyo ke liye 1 udaharan hai. To chaliye ab jante hain ki 1 smartphone company kholne ke liye apko kin kin baato ka dhyan rakhna chahiye.
Number 1:- Technology lovers ke liye products banaye, 1 successful smartphone company khadi krne ke liye apka product bahut badhiya hona chahiye. Apko apne competitors company ko dekhna hai or uske products ko analyse kar ke apne products ke features ko develop krna hai.
Dosto jab tak aap apne grahak ko achha option nhi dete wo kyu apka phone kharidenge. Apke phone me aise features hone chahiye jo customers ko apke phone ke taraf attract kare. Jo ki xiaomi company ke phones ne kiya jo ki indian market me aaj bada asthan rakhti hai.
Dosto OnePlus ne jo bhi phones nikale wo badi badi brands ko takkar deta hai, iske design ne logo ko apne taraf attract kiya or iske achhe features ke karan yah phone aaj market me bade brands ke sath khada hai.
Xiaomi or Oneplus ne technology lovers ko apni or khhicha or aaj bade brands ke rup me hamare samne khada hai. isse aap udaharan le skte hain ki apko kis tarah ke design or features par dhyan dena hai.
Jo ki jadatar logo ko apke product ko kharidne ke liye majgur karega. Market me 1 achha option banane ke liye ye bahut jaruri hai.
Number 2:- Apne product ko bechane ka sasta vikalp dhundhe, Xiaomi or OnePlus jese brand ne third party distribution channel ya mahange retail ke liye apne mobiles bechne se mana kar diya. Uhne pata tha ki iss tarah se samay toh jada lagega hi sath hi paise bhi bahut lag jayega.
Or unhone iske jagah khud market me entry ki or 1 ecommerce ke madhyam se customers ko sheedhe apna product becha. jisse unki kafi rupay or samay bach gye, jisse unhone isko age ke kamo me istemaal kiya. Direct selling me 1 nuksan ye hai ki isme sab chijo ko dekh pana muskil hota hai. Xiaomi or OnePlus ne apne phone ko kam lagat par or achhe features ke sath bechkar bade brands ke campaniyo se mukabala kiya.
Istarah thode nuksan ke sath hi sahi lekin wah sab customers ke pass pahuch sake. Jiska natija yah hua ki aaj ye dono popular brand banke market me khade hain. Iss direct selling business se faida ye hai ki seller ko customers ke pass nhi jana padta balki customer khud seller ke pass aata hai or product kharidata hai.
Agar aap bhi 1 brand kharidana chahte hain toh good features or great design ke bad apko bhi ecommerce ka istemal krna chahiye, direct logo tak pahuchane ke liye. Isse apke paise toh bachenge hi sath hi sath aap 1 hi bar me lakho buyers ke nazro me aa sakenge.
Number 3:- 1 hi model ke products market me nikalen, Aap 1 bar me kai sare products bana skte hain or bech skte hain. Lekin usse apke phone ki asli kimat kam ho jati hai kyuki 1 toh pahle hi apko bade brands se kam kimat me products bechne hote hain, taki aap apne customers bana sake or uske bad aap unlimited 1 hi model ke phone market me le aate hain to usse apki value bhi kam ho jati hai.
Customers ki 1 psychology hoti hai jiske mubtabik jis chij ke features achhe hain lekin agar wo market me kam hai toh use khadrid liya jaye. isi psychology ka istemal apple jese bade brand karte hain. Apples ne iphone or ipads ke sath yahi kiya jiske wajah se ye market me aaj 1 bade or popular brand ke rup me mojud hai.
Xiaomi or Oneplus ke phone market me aate hi out of stoke ho jaate hain iski wajah yahi psychology hi hai. 1 nayi ya chhoti company hone ke wajah se 1 toh apke pass simit sadhaan or rupay hain, upar se aap 1 hi model ke kai sare phones market me utar dete hain or kisi wajah se wah jada nhi bik pate toh apko nuksan uthna pad skta hai. Isliye utpadan ko simit rakhiye.
Number 4:- Maal or jagrukta badhye, 1 bade brand ke market me jaane ki strategy 1 chhoti company ke mukabale alag hoti hai. Koi company market me kitna lamba perform kar payegi yah depend krta hai uske good market strategy par.
Aaj social media 1 powerful tool hai jiske madad se aap 1 hi bar me aap apni baat puri duniya tak pahucha skte hain. Or alag alag advertisment ke liye alag alag karch nhi krna padta hai. Xiaomi jese brands ne iss marketing jese takat ka achha istemal kiya hai.
Wo apni website, social media or press ke madhyam se ghusna karte hain. Ki ab kab wo apna naya model launch kr rhe hain ya kab naya phone market me layenge.
Or kab purane models ke stocks aane wale hain market me iss tarah iss brand ke phone market me aate hi bik jaate hain. Strong marketing power customerke sath 1 strong relationship banane me kam aata hai.
Marketing ke mamale me toh OnePlus xioami se bhi aage nikal gaya, Oneplus kharidne ke liye apko 1 invitation pratap krna hoga. har jagah ise share krna padta hai or bhi bahut kuch krna padta hai. Isse aap andaja laga skte hain ki apko kis kis tarike se naye ideas nikalne honge, apne phone ko popular krne ke liye.
Aap contest bhi karwa skte hain jisse log usme part lenge wah phone jeetne ke liye or isse apka advertisement bhi hota rahega.
Number 5:- Profitable Services or Products ko beche, Agar aap bataye gaye charo steps ko follow kar lete hain, toh aap apne phone ke liye bada market krne ke me success ho payenge. Or ab suru hota hai apke iss business se profit kamana kyuki aap jo bhi business kar rhe wo profit ke liye hi kar rhe hain.
Lekin pahle bataye gaye charo steps apko jada profit nhi dila payenge. ye bas apke products ke marketing or customer reach ko badha payenge. To ab aap profit kese kamaye iska answer hai un products or service ko beche jisse paise baane, jese xiaomi ke liye jada profit karne ke jariya hai Tmall.com. Tmall.com me online service dena jese theme kharidna.
Oneplus apne phone ke liye $50 me case cover bechta hai jo ki bahut mahanga hai lekin log use kharidte hain, Status symbol ke rup me isi technique ka istemal retail store karte hain. wo hamesha logo ko apne store ke taraf attract krne ke liye limited low price jese chije bechte hain taki jada se jada log unke store par aayen.
Conclusion
Dosto hame ummid hai ki apko yah article pasand aya hoga hum apni taraf se puri koshis krte hain ki apko 1 hi article me apko puri jankari de sake. Agar apko apna mobile ka business suru krna hai toh aap inn steps ko follow kar ke hi aage ki galtiyo se bach skte hain.
Dosto agar apko iss article se related koi or question hai toh aap hame comment kar ke puchh skte hain, hum apke sabhi sawalo ka jawab jarur denge. dosto or bhi aage isi tarah ke informative articles ko padhne ke liye aap hame follow krna naa bhulen, Thank you.